Apnay honton pay sajana chahta hoon
Aa tujhay main gungunana chahta hoon
Koi aansu teray daaman pay gira kar
Boond ko moti banana chahta hoon
Barh gayi is hadd talak bay-aitamadi
Tujh ko tujh say bhi chhupana chahta hoon
Thak gaya main kartay kartay yaad tujh ko
Ab tujhay main yaad aana chahta hoon
Jo bana baa’is meri nakamion ka
Main ussi k kaam aana chahta hoon
Chhaa raha hai saari basti par andhera
Roshni ko ghar jalana chahta hoon
Phool say paikar tou niklay bay-murrawat
Pathron ko aazmana chahta hoon
Reh gayi thi kuch kami ruswaion main
Phir Qateel uss dar pay jana chahta hoon
- Qateel Shifai

dr bilal on August 1, 2012 at 5:01 PM said:
knonie ji tusi great o. full marks to qateel shifai.bht pyari eh ghazal dost,m ese share krna chahta hn